As-salaam Walekum Lyrics – Emiway Bantai

As-salaam Walekum Lyrics| Emiway Bantai 

As-salaam Walekum Lyrics - Emiway Bantai


Song Name As-salaam Walekum 
Singer(s) Emiway Bantai
Lyricist(s) Emiway Bantai
Music(s) Flamboy
Featuring Stars Emiway Bantai
Music Label Emiway Bantai

Latest Hindi Song As-salaam Walekum sung by Emiway Bantai   lyrics written by Emiway Bantai  music given by Flamboy featuring Emiway Bantai                                  

As-salaam Walekum Lyrics | Emiway Bantai 

Haan as-salaam walekum

Sabko salaam walekum
Door se salaam sabko
Paas nhi aana tum

As-salaam walekum

Sabko salaam walekum

Door se salaam sabko

Paas nhi aana tum 

Paas nhi aana tum
Paas nhi aana tum
Paas nhi aana tum 

Haan bahut logon main aane diya paas

Kisko bhi maan leta tu hi hai khaas

Phir pata chala mujhe to yeh to bakwas hai

Mujhe hi karna chahte sab to nash yeh

Sath rah ke haat pair kaanp rahe the

Ke soch ke baap re baap

Abhi se chalna hai sabse sambhal ke

To khud ko kehta hoon ab fasle naap

Main saans lena shuru kiya hoan

Ammi abba ko khushi diya hoan

Hai malik yeh teri raza hai

Mujhe to aa rela jeene mein kaafi maza hai

Kisi se nafrat nahi yehi wajah hai

Khud ko bana lo be doosre ke darwaze kaiko bajaye

Log yahan soch rakhe kaiko bachaye

Jab tak hai paisa yeh sath mein machaye

Asli log sath hain to samjhoge bhai

Kisko hai rakhna kidhar

Kisko banana jigar

Kis pe dabana trigger

Yeh main samjh gaya

Kaafi logon ki chal se main bach gaya kya

Haan ab puchh mujhe main kaise itta shana

Itti se umar duniya samjh gaya

Walekum

Sabko salaam walekum

Door se salaam sabko

Paas nhi aana tum

As-salaam walekum

Sabko salaam walekum

Door se salaam sabko

Paas nhi aana tum

Haan haan

Duniyadari kam reh raha hoon apne mein

Kisko bharosa nahi tha meri sapne mein

Abba ko chhod ke mummy ko chhod ke

Raste mein jitne bhi kaante the tod ke

Yahan tak aayla aise kaise chhod dein

Shortcut manta hai sabko in ko chitkor de

Meri pincode pe Google kar

Wikipedia pe milega mera naam

Woh aise ch nahi ayele

Uske liye kaam kiyele apun subah shaam

Log kuchh bhi chillayenge

Inka to aadat hai jhooth bolna sareaam

Main to karun kaam mera kaam dega jawab

Jahan bhi jaata hoon izzat hai nawab

Tab tak hai dharti mein kab tak hai mauka

Jaldi se jaldi kama le sabab

Ruwab ko rakhna uncha

Beech mein nahi bolne ka

Tere ko ko kaun poochha

Haal hi filhali mein maine kuchh socha

Khud ka main kha raha hoin kiska nahi nocha

Jee raha hoon hak se

Itni pateli kyun karta hai shakhs yeh

Poochh mujhse

Bina jaan pehchan ke maidan mein ghusele

Independent beta hak se

Jawab dena hai to apun

Kis se bhi nahi darta

Jo bhi bolke dikhaya Bantai

Woh main khulla karta kya

Let’s f**ks given abhi farak bhi nahi padta

Poora game badal diya hai be 24 saal ka ladka

Salaam walekum

Sabko salaam walekum

Door se salaam sabko

Paas nhi aana tum

As-salaam walekum

Sabko salaam walekum

Door se salaam sabko

Paas nhi aana tum

Haan nafrat karega to khuda naraz

Dharti mein insaan log ban rahe maharaj

Inko nahi maalum kya hone wala aaj

Yeh kasam khilayenge kal ki bahar kuchh aur

Andar kuchh aur

Par andar ki baatein to chehre pe jhalki

Insaan ko nikal ke aayele par

Khuda se bhi nahi rakh rahe dar

Itna guroor tere andar mat bhar

Itna kamaya leke jayega kidhar

Paap tera saaf karne nahayega kidhar

Baap bola beta mera chhod diya ghar

Abbe aisa na kar

Sath nahi chhodna

Maa baap ne pakda hai hath nahi chhodna

Chhodna hai to chhod un log ko

Jo log beech mein hi chhod denge kya

Haan apun bhi aise hi shyane banele

Koyi todne ko aayega to apun bhi tod denge

Hath sirf jod denge khuda ke saamne

Achcha lag raha hai mujhe khuda ke saamne

Batane yeh saari baatein

Baaki log meri tarah yeh bata nahi paate

Itne saare bas jo mera lockup hai

Jaise yeh Paanipat hai yeh Paanipat hai

Kyun ki thoda bahut karke nibha nahi paate

Yeh dikha nahi paate jo main dikha raha

Khud ko kabhi nahi bolna bechara

Khud ka banunga main khud hi sahara

Andar kyun chhupa hai chal beta bahar aa

Woh nahi milega jo tu hai chah raha

Us’se bhi behtar kuchh likha hai ja raha

Us’se bhi behtar kuchh likha hai ja raha

Sabar hai le lo patience rakho

Apna kaam karo dil laga ke karo

Consistent raho yo

Keep motivating each other

Independent organic day one se

Peace out

YouTube Video

 

 

Leave a Comment

close